vo ek patthar | वो एक पत्थर

  - Ejaz Farooqi

vo ek patthar
vo sakht kaala siyaah patthar
lahu se tar
jis ki teergi naag ban ke dasti thi
jis ki sakhti se kohsaaron ke dil dahalte the
jis ki khoon-tishnagi se komal shajar faqat tehniyon ki hasrat ke zaaviye the
vo ek patthar
jo tu ne fenka
mere samundar mein harkat-e-la-zawaal ka ek taaziyaana bana
vo lahren uthhiin
ki khaamosh chaandni ki ruphali chadar bhi thartharaai
vo jhaag ka noor teergi ke siyaah pardo ko chaak karne laga
vo sheeshe ki ek deewaar
jis ko tu ye samajh raha tha
ki ek thokar se choor hogi
vo ek sone ka thaal ban kar damak rahi hai

वो एक पत्थर
वो सख़्त काला सियाह पत्थर
लहू से तर
जिस की तीरगी नाग बन के डसती थी
जिस की सख़्ती से कोहसारों के दिल दहलते थे
जिस की ख़ूँ-तिश्नगी से कोमल शजर फ़क़त टहनियों की हसरत के ज़ाविए थे
वो एक पत्थर
जो तू ने फेंका
मिरे समुंदर में हरकत-ए-ला-ज़वाल का एक ताज़ियाना बना
वो लहरें उट्ठीं
कि ख़ामोश चाँदनी की रुपहली चादर भी थरथराई
वो झाग का नूर तीरगी के सियाह पर्दों को चाक करने लगा
वो शीशे की एक दीवार
जिस को तू ये समझ रहा था
कि एक ठोकर से चूर होगी
वो एक सोने का थाल बन कर दमक रही है

  - Ejaz Farooqi

Ehsaas Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Farooqi

Similar Moods

As you were reading Ehsaas Shayari Shayari