ye samundar
mauj-dar-mauj silaasil
halke gehre sabz neele rang
jin par jaa-b-jaa chaandi ke dhabbe
us kinaare par gulaabi rang mein dooba hua ik gol chehra
failte paani mein apne aatishi honton ki surkhi gholta jaaye
main ik sone ki kashti mein sawaar
un haseen rangon mein madhosh
us kinaare ki taraf badhta chala jaata hoon
door sathe-aab par vo ek bagalon ki qataar
ye samundar ke rishi gyaani
jo paani ke har ik sur-taal se aagaah hain
ab tak ye be-fikri se maujon par sawaar
tairte jaate the
kyun phir dafa'atan
toli bana kar ud gaye
main nazar ke taar par raksaan
vo nagmon ke suron mein gum
ये समुंदर
मौज-दर-मौज सलासिल
हल्के गहरे सब्ज़ नीले रंग
जिन पर जा-ब-जा चाँदी के धब्बे
उस किनारे पर गुलाबी रंग में डूबा हुआ इक गोल चेहरा
फैलते पानी में अपने आतिशीं होंटों की सुर्ख़ी घोलता जाए
मैं इक सोने की कश्ती में सवार
उन हसीं रंगों में मदहोश
उस किनारे की तरफ़ बढ़ता चला जाता हूँ
दूर सत्ह-ए-आब पर वो एक बगलों की क़तार
ये समुंदर के ऋषी ज्ञानी
जो पानी के हर इक सुर-ताल से आगाह हैं
अब तक ये बे-फ़िक्री से मौजों पर सवार
तैरते जाते थे
क्यूँ फिर दफ़अ'तन
टोली बना कर उड़ गए
मैं नज़र के तार पर रक़्साँ
वो नग़्मों के सुरों में गुम
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Farooqi
As you were reading Kashti Shayari Shayari