vo teergi bhi ajeeb thi
chaandni ki thandi gudaaz chadar se saara jungle lipt raha tha
gulon ke sad-rang
dhundle dhundle se
jaise ik seem-tan ke chehre ke shokh ghaaze pe
aansuon ka ghubaar ho
ped muntazir
apni narm shaakhon ke haath failaaye
aur kabhi koi shaakh chatki
to saaye nikle
mulook phoolon ko choom kar
chaandni ki chadar pe naachte the
kahaan se aayi
vo ik kiran
jis ne phailti teergi ki gambheerta. ko cheera
to mere bheetar mein ek kirnon ka silsila yun utar raha tha
ki koh-e-aatish-fashaan se laava nasheb ko bah raha ho
mere lahu se soj ubal pade
jin ki tez hiddat se teergi ke muheeb yakh-basta sang pighle
to noor ke raaston ka ik jaal khul gaya
magar abhi to muheeb kaale pahaad kuchh aur bhi nazar aa rahe hain
aur main safar ki hiddat se jal raha hoon
zara main ab chaandni ki thandi gudaaz-chaadar mein
dam to le luun
kahi ubalti hui ye aatish
mujhe jala kar bhasm na kar de
वो तीरगी भी अजीब थी
चाँदनी की ठंडी गुदाज़ चादर से सारा जंगल लिपट रहा था
गुलों के सद-रंग
धुँदले धुँदले से
जैसे इक सीम-तन के चेहरे के शोख़ ग़ाज़े पे
आँसुओं का ग़ुबार हो
पेड़, मुंतज़िर
अपनी नर्म शाख़ों के हाथ फैलाए
और कभी कोई शाख़ चटकी
तो साए निकले
मुलूक फूलों को चूम कर
चाँदनी की चादर पे नाचते थे
कहाँ से आई
वो इक किरन
जिस ने फैलती तीरगी की गँभीरता को चीरा
तो मेरे भीतर में एक किरनों का सिलसिला यूँ उतर रहा था
कि कोह-ए-आतिश-फ़शाँ से लावा नशेब को बह रहा हो
मेरे लहू से सोज उबल पड़े
जिन की तेज़ हिद्दत से तीरगी के मुहीब यख़-बस्ता संग पिघले
तो नूर के रास्तों का इक जाल खुल गया
मगर अभी तो मुहीब काले पहाड़ कुछ और भी नज़र आ रहे हैं
और मैं सफ़र की हिद्दत से जल रहा हूँ
ज़रा मैं अब चाँदनी की ठंडी गुदाज़-चादर में
दम तो ले लूँ
कहीं उबलती हुई ये आतिश
मुझे जला कर भस्म न कर दे
Our suggestion based on your choice
our suggestion based on Ejaz Farooqi
As you were reading Garmi Shayari Shayari