istaada hai jab saamne deewaar kahoon kya | इस्तादा है जब सामने दीवार कहूँ क्या - Ejaz Gul

istaada hai jab saamne deewaar kahoon kya
haasil bhi nahin rozan-e-darkaar kahoon kya

lagta to hai kuchh deed ko naa-deed ke peeche
khulta nahin manzar koi us paar kahoon kya

hoon tang zara jeb se ai hasrat-e-ashyaa
shaamil to hai fahrist mein bazaar kahoon kya

jis baat ke inkaar ka had-darja gumaan hai
vo baat yaqeen ke liye sau baar kahoon kya

main un ke jawaabaat se aur ahl-e-zamaana
hain mere savaalaat se bezaar kahoon kya

jis baat pe thi bahs hui bahs se khaariz
ab rah gai aapas mein hai takraar kahoon kya

ham-saaye ki ham-saaye se pehchaan nahin hai
paivast hai deewaar mein deewaar kahoon kya

ghaafil nahin aisa bhi main ab apni rasad se
is dil mein talab ka hai jo ambaar kahoon kya

gulzaar sa khil uthata hai khushboo-e-sukhan se
jaadu hai vo is ka dam-e-guftaar kahoon kya

hai rang badan ka lugat-e-rang mein napaaid
laa-saani hai qamat mein qad-e-yaar kahoon kya

इस्तादा है जब सामने दीवार कहूँ क्या
हासिल भी नहीं रौज़न-ए-दरकार कहूँ क्या

लगता तो है कुछ दीद को ना-दीद के पीछे
खुलता नहीं मंज़र कोई उस पार कहूँ क्या

हूँ तंग ज़रा जेब से ऐ हसरत-ए-अश्या
शामिल तो है फ़हरिस्त में बाज़ार कहूँ क्या

जिस बात के इंकार का हद-दर्जा गुमाँ है
वो बात यक़ीं के लिए सौ बार कहूँ क्या

मैं उन के जवाबात से और अहल-ए-ज़माना
हैं मेरे सवालात से बेज़ार कहूँ क्या

जिस बात पे थी बहस हुई बहस से ख़ारिज
अब रह गई आपस में है तकरार कहूँ क्या

हम-साए की हम-साए से पहचान नहीं है
पैवस्त है दीवार में दीवार कहूँ क्या

ग़ाफ़िल नहीं ऐसा भी मैं अब अपनी रसद से
इस दिल में तलब का है जो अम्बार कहूँ क्या

गुलज़ार सा खिल उठता है ख़ुश्बू-ए-सुख़न से
जादू है वो इस का दम-ए-गुफ़्तार कहूँ क्या

है रंग बदन का लुग़त-ए-रंग में नापैद
ला-सानी है क़ामत में क़द-ए-यार कहूँ क्या

- Ejaz Gul
0 Likes

Dil Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Dil Shayari Shayari