aks ubhara na tha aaina-e-dil-daari ka | अक्स उभरा न था आईना-ए-दिल-दारी का - Ejaz Gul

aks ubhara na tha aaina-e-dil-daari ka
hijr ne kheench diya dayra zangaari ka

naaz karta tha tawalat pe ki waqt-e-rukhsat
bhed saaye pe khula shaam ki ayyaari ka

jis qadar kharch kiye saans hui arzaani
nirakh girta gaya rasm-o-rah-e-baazaari ka

raat ne khwaab se waabasta rifaqat ke evaz
raasta band rakha din ki numoodaari ka

aisa veeraan hua hai ki khizaan roti hai
kal bahut shor tha jis baagh mein gul-kaari ka

be-sabab jam'a to karta nahin teer o tarkash
kuchh hadf hoga zamaane ki sitamgaari ka

pa-b-zanjeer kiya tha mujhe aasaani ne
marhala ho na saka tay kabhi dushwaari ka

mutmain dil hai ajab bheed se gham-khwaron ki
silsila tool pakad le na ye beemaari ka

अक्स उभरा न था आईना-ए-दिल-दारी का
हिज्र ने खींच दिया दायरा ज़ंगारी का

नाज़ करता था तवालत पे कि वक़्त-ए-रुख़्सत
भेद साए पे खुला शाम की अय्यारी का

जिस क़दर ख़र्च किए साँस हुई अर्ज़ानी
निर्ख़ गिरता गया रस्म-ओ-रह-ए-बाज़ारी का

रात ने ख़्वाब से वाबस्ता रिफ़ाक़त के एवज़
रास्ता बंद रखा दिन की नुमूदारी का

ऐसा वीरान हुआ है कि ख़िज़ाँ रोती है
कल बहुत शोर था जिस बाग़ में गुल-कारी का

बे-सबब जम'अ तो करता नहीं तीर ओ तरकश
कुछ हदफ़ होगा ज़माने की सितमगारी का

पा-ब-ज़ंजीर किया था मुझे आसानी ने
मरहला हो न सका तय कभी दुश्वारी का

मुतमइन दिल है अजब भीड़ से ग़म-ख़्वारों की
सिलसिला तूल पकड़ ले न ये बीमारी का

- Ejaz Gul
0 Likes

Poverty Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Poverty Shayari Shayari