faila ajab ghubaar hai aaina-gaah mein | फैला अजब ग़ुबार है आईना-गाह में - Ejaz Gul

faila ajab ghubaar hai aaina-gaah mein
mushkil hai khud ko dhoondhna aks-e-tabaah mein

jal-bujh chuka hai khwaahish-e-naakaam se vujood
parchhaaien phir rahi hai makaan-e-siyaah mein

main vo ajl-naseeb ki qaateel hoon apna-aap
hota hoon roz qatl kisi qatl-gaah mein

rakha gaya hoon izzat-o-tauqeer ka aseer
baandha gaya hai sar ko ghuroor-e-kulaah mein

halkaan mein nahin tiri khaatir sar-e-hujoom
sab mar rahe hain hasrat-e-yak-do-nigaah mein

फैला अजब ग़ुबार है आईना-गाह में
मुश्किल है ख़ुद को ढूँढना अक्स-ए-तबाह में

जल-बुझ चुका है ख़्वाहिश-ए-नाकाम से वजूद
परछाईं फिर रही है मकान-ए-सियाह में

मैं वो अजल-नसीब कि क़ातिल हूँ अपना-आप
होता हूँ रोज़ क़त्ल किसी क़त्ल-गाह में

रक्खा गया हूँ इज़्ज़त-ओ-तौक़ीर का असीर
बाँधा गया है सर को ग़ुरूर-ए-कुलाह में

हलकान में नहीं तिरी ख़ातिर सर-ए-हुजूम
सब मर रहे हैं हसरत-ए-यक-दो-निगाह में

- Ejaz Gul
0 Likes

Justaju Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Justaju Shayari Shayari