kabhi qataar se baahar kabhi qataar ke beech | कभी क़तार से बाहर कभी क़तार के बीच - Ejaz Gul

kabhi qataar se baahar kabhi qataar ke beech
main hijr-zaad hua kharch intizaar ke beech

bana hua hai taalluq sa ustuwaari ka
mere tawaaf se is mehwar o madaar ke beech

ki aata jaata rahe aks-e-hairati is mein
bichha diya gaya aaina aar-paar ke beech

hawa ke khel mein shirkat ke vaaste mujh ko
khizaan ne shaakh se fenka hai rahguzar ke beech

ye main hoon tu hai hayoola hai har musaafir ka
jo mit raha hai thakan se udhar ghubaar ke beech

koi lakeer si paani ki jhilmilaati hai
kabhi kabhi mere matrook aabshaar ke beech

main umr ko to mujhe umr kheenchti hai ult
tazaad samt ka hai asp aur sawaar ke beech

कभी क़तार से बाहर कभी क़तार के बीच
मैं हिज्र-ज़ाद हुआ ख़र्च इंतिज़ार के बीच

बना हुआ है तअल्लुक़ सा उस्तुवारी का
मिरे तवाफ़ से इस मेहवर ओ मदार के बीच

कि आता जाता रहे अक्स-ए-हैरती इस में
बिछा दिया गया आईना आर-पार के बीच

हवा के खेल में शिरकत के वास्ते मुझ को
ख़िज़ाँ ने शाख़ से फेंका है रहगुज़ार के बीच

ये मैं हूँ तू है हयूला है हर मुसाफ़िर का
जो मिट रहा है थकन से उधर ग़ुबार के बीच

कोई लकीर सी पानी की झिलमिलाती है
कभी कभी मिरे मतरूक आबशार के बीच

मैं उम्र को तो मुझे उम्र खींचती है उलट
तज़ाद सम्त का है अस्प और सवार के बीच

- Ejaz Gul
0 Likes

Rishta Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Rishta Shayari Shayari