khaashaak se khizaan mein raha naam baagh ka | ख़ाशाक से ख़िज़ाँ में रहा नाम बाग़ का - Ejaz Gul

khaashaak se khizaan mein raha naam baagh ka
warna to har darakht pe qabza hai zaagh ka

hairat hai sab talash pe us ki rahe musir
paaya gaya suraagh na jis be-suraagh ka

hai irtikaaz-e-zaat mein waqfa zara si der
toota nahin hai raabta lau se charaagh ka

kab kis pe mehrbaan ho aur kab ult pade
kis ko yahan pata hai kisi ke dimaagh ka

hota hai phir vo aur kisi yaad ke supurd
rakhta hoon jo sanbhaal ke lamha faraagh ka

mashq-e-sukhan mein dil bhi hamesha se hai shareek
lekin hai is mein kaam ziyaada dimaagh ka

ख़ाशाक से ख़िज़ाँ में रहा नाम बाग़ का
वर्ना तो हर दरख़्त पे क़ब्ज़ा है ज़ाग़ का

हैरत है सब तलाश पे उस की रहे मुसिर
पाया गया सुराग़ न जिस बे-सुराग़ का

है इर्तिकाज़-ए-ज़ात में वक़्फ़ा ज़रा सी देर
टूटा नहीं है राब्ता लौ से चराग़ का

कब किस पे मेहरबान हो और कब उलट पड़े
किस को यहाँ पता है किसी के दिमाग़ का

होता है फिर वो और किसी याद के सुपुर्द
रखता हूँ जो सँभाल के लम्हा फ़राग़ का

मश्क़-ए-सुख़न में दिल भी हमेशा से है शरीक
लेकिन है इस में काम ज़ियादा दिमाग़ का

- Ejaz Gul
0 Likes

Shajar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Shajar Shayari Shayari