dar khol ke dekhoon zara idraak se baahar | दर खोल के देखूँ ज़रा इदराक से बाहर - Ejaz Gul

dar khol ke dekhoon zara idraak se baahar
ye shor sa kaisa hai meri khaak se baahar

rudaad-e-guzishta to sooni kooza-gari ki
farda ka bhi kar zikr jo hai chaak se baahar

khush aaya ajab ishq ko ye jaama-e-zeba
nikla nahin phir hijr ki poshaak se baahar

chaaha tha mafar dil ne magar zulf-e-girah-geer
pechaak banaati rahi pechaak se baahar

aata nahin kuchh yaad ki ai saaat-e-nisyaan
kya rakha tire taq pe kya taq se baahar

sunta hoon kahi door se naqqaara saba ka
utri hai bahaar ab ke bhi khaashaak se baahar

kuchh der thehar aur zara dekh tamasha
napaaid hain ye raunqen is khaak se baahar

maujood khala mein hain agar aur zameenen
aflaak bhi honge kahi aflaak se baahar

दर खोल के देखूँ ज़रा इदराक से बाहर
ये शोर सा कैसा है मिरी ख़ाक से बाहर

रूदाद-ए-गुज़िश्ता तो सुनी कूज़ा-गरी की
फ़र्दा का भी कर ज़िक्र जो है चाक से बाहर

ख़ुश आया अजब इश्क़ को ये जामा-ए-ज़ेबा
निकला नहीं फिर हिज्र की पोशाक से बाहर

चाहा था मफ़र दिल ने मगर ज़ुल्फ़-ए-गिरह-गीर
पेचाक बनाती रही पेचाक से बाहर

आता नहीं कुछ याद कि ऐ साअत-ए-निस्याँ
क्या रक्खा तिरे ताक़ पे क्या ताक़ से बाहर

सुनता हूँ कहीं दूर से नक़्क़ारा सबा का
उतरी है बहार अब के भी ख़ाशाक से बाहर

कुछ देर ठहर और ज़रा देख तमाशा
नापैद हैं ये रौनक़ें इस ख़ाक से बाहर

मौजूद ख़ला में हैं अगर और ज़मीनें
अफ़्लाक भी होंगे कहीं अफ़्लाक से बाहर

- Ejaz Gul
0 Likes

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari