ye ghoomta hua aaina apna thehra ke | ये घूमता हुआ आईना अपना ठहरा के - Ejaz Gul

ye ghoomta hua aaina apna thehra ke
zara dikha mera rafta tu charkh palta ke

hai kaayenaat muamma juda tariqe ka
faqat suljhta hai aapas mein girhen uljha ke

nateeja ek sa nikla dimaagh aur dil ka
ki dono haar gaye imtihaan mein duniya ke

musafiron se raha hai vo raasta aabaad
palat ke aaye nahin jis se pesh-rau ja ke

ye hijr-zaad samajhta hai kam visaal ki baat
bata jo ramz-o-kinaaya hain khoob faila ke

ki band rehta hai shahr-e-talab ka darwaaza
yaqeen aaya mujhe baar baar ja aa ke

khafif ho ke main chehre ko fer leta hoon
agar guzarta hai tujh aashna sa katara ke

jawaab mera galat tha sawaal us ka durust
khula ye mujh pe kisi na-samajh ko samjha ke

ये घूमता हुआ आईना अपना ठहरा के
ज़रा दिखा मिरा रफ़्ता तू चर्ख़ पल्टा के

है काएनात मुअम्मा जुदा तरीक़े का
फ़क़त सुलझता है आपस में गिर्हें उलझा के

नतीजा एक सा निकला दिमाग़ और दिल का
कि दोनों हार गए इम्तिहाँ में दुनिया के

मुसाफ़िरों से रहा है वो रास्ता आबाद
पलट के आए नहीं जिस से पेश-रौ जा के

ये हिज्र-ज़ाद समझता है कम विसाल की बात
बता जो रम्ज़-ओ-किनाया हैं ख़ूब फैला के

कि बंद रहता है शहर-ए-तलब का दरवाज़ा
यक़ीन आया मुझे बार बार जा आ के

ख़फ़ीफ़ हो के मैं चेहरे को फेर लेता हूँ
अगर गुज़रता है तुझ आश्ना सा कतरा के

जवाब मेरा ग़लत था सवाल उस का दुरुस्त
खुला ये मुझ पे किसी ना-समझ को समझा के

- Ejaz Gul
0 Likes

Visaal Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Visaal Shayari Shayari