yahin tha baitha hua darmiyaan kahaan gaya main | यहीं था बैठा हुआ दरमियाँ कहाँ गया मैं - Ejaz Gul

yahin tha baitha hua darmiyaan kahaan gaya main
ki mil raha nahin apna nishaan kahaan gaya main

na kar raha hai fulan ko fulan khabar meri
na poochta hai fulan se fulan kahaan gaya main

nishaan milta hai haazir mein kab guzishta ka
bata sakenge na aindagaan kahaan gaya main

saje hue hain piyaada o asp o feel tamaam
bichi hui hai bisaat-e-jahaan kahaan gaya main

main kab nahin tha akaarat magar raha haazir
hua hoon ab ke ajab raayegaan kahaan gaya main

jise yaqeen tha har sood mein khasaare ka
tha apne-aap mein sharh-e-ziyaan kahaan gaya main

agar tha pehle hi naam-o-nishaan mera mafaqood
to ho ke baar-e-digar be-nishaan kahaan gaya main

na bhejta hai koi naama-e-firaq mujhe
na dhoondhta hai pata khat-rasaan kahaan gaya main

jo kar raha tha guzishta ke waqiaat durust
suna raha tha ult dastaan kahaan gaya main

liya gaya hoon hiraasat mein be-amaani ki
ki be-amaan tha shahr-e-amaan kahaan gaya main

utha ke le gaya daroga-e-fana shaayad
khula hua hai dar-e-khaak-daan kahaan gaya main

bujhi nahin mere aatish-kade ki aag abhi
utha nahin hai badan se dhuaan kahaan gaya main

nahin hua hoon magar is tarah kabhi ghaaeb
raha hamesha nihaan dar-ayaan kahaan gaya main

यहीं था बैठा हुआ दरमियाँ कहाँ गया मैं
कि मिल रहा नहीं अपना निशाँ कहाँ गया मैं

न कर रहा है फुलाँ को फुलाँ ख़बर मेरी
न पूछता है फुलाँ से फुलाँ कहाँ गया मैं

निशान मिलता है हाज़िर में कब गुज़िश्ता का
बता सकेंगे न आइंदगाँ कहाँ गया मैं

सजे हुए हैं पियादा ओ अस्प ओ फ़ील तमाम
बिछी हुई है बिसात-ए-जहाँ कहाँ गया मैं

मैं कब नहीं था अकारत मगर रहा हाज़िर
हुआ हूँ अब के अजब राएगाँ कहाँ गया मैं

जिसे यक़ीन था हर सूद में ख़सारे का
था अपने-आप में शरह-ए-ज़ियाँ कहाँ गया मैं

अगर था पहले ही नाम-ओ-निशाँ मिरा मफ़क़ूद
तो हो के बार-ए-दिगर बे-निशाँ कहाँ गया मैं

न भेजता है कोई नामा-ए-फ़िराक़ मुझे
न ढूँढता है पता ख़त-रसाँ कहाँ गया मैं

जो कर रहा था गुज़िश्ता के वाक़िआत दुरुस्त
सुना रहा था उलट दास्ताँ कहाँ गया मैं

लिया गया हूँ हिरासत में बे-अमानी की
कि बे-अमान था शहर-ए-अमाँ कहाँ गया मैं

उठा के ले गया दारोगा-ए-फ़ना शायद
खुला हुआ है दर-ए-ख़ाक-दाँ कहाँ गया मैं

बुझी नहीं मिरे आतिश-कदे की आग अभी
उठा नहीं है बदन से धुआँ कहाँ गया मैं

नहीं हुआ हूँ मगर इस तरह कभी ग़ाएब
रहा हमेशा निहाँ दर-अयाँ कहाँ गया मैं

- Ejaz Gul
0 Likes

Aitbaar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Aitbaar Shayari Shayari