usi jannat jahannam mein maroonga | उसी जन्नत जहन्नम में मरूँगा - Ejaz Gul

usi jannat jahannam mein maroonga
gaye mausam ko aawaazen na doonga

naye jismoon se maqtal jaagte hain
naye logon ke raaste par chalunga

meri aankhen salaamat hain to phir main
paraaye khwaab le kar kya karunga

lahu ki surkhiyaan mere alam hain
khizaan ke zard lashkar se ladoopunga

kisi khitte mein qatl-e-roshani ho
main apne shehar par nauha kahunga

aur us par jo sitam tootega us ko
tumhaare naam likkhoonga sahunga

उसी जन्नत जहन्नम में मरूँगा
गए मौसम को आवाज़ें न दूँगा

नए जिस्मों से मक़्तल जागते हैं
नए लोगों के रस्ते पर चलूँगा

मिरी आँखें सलामत हैं तो फिर मैं
पराए ख़्वाब ले कर क्या करूँगा

लहू की सुर्ख़ियाँ मेरे अलम हैं
ख़िज़ाँ के ज़र्द लश्कर से लड़ूँगा

किसी ख़ित्ते में क़त्ल-ए-रौशनी हो
मैं अपने शहर पर नौहा कहूँगा

और उस पर जो सितम टूटेगा उस को
तुम्हारे नाम लिक्खूंगा सहूँगा

- Ejaz Gul
0 Likes

Shehar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Shehar Shayari Shayari