tham gai waqt ki raftaar tire kooche mein | थम गई वक़्त की रफ़्तार तिरे कूचे में - Ejaz Gul

tham gai waqt ki raftaar tire kooche mein
aise saabit hua sayyaar tire kooche mein

manzar-e-baam sar-e-deed nahin khulta hai
kuchh hai naa-deeda ka asraar tire kooche mein

har talabgaar ko hai haasil-e-guftaar-e-sukoot
na hai inkaar na iqaar tire kooche mein

aaina shaam ka raushan rukh-e-mehtaab se kar
aks chamke to ho deedaar tire kooche mein

waslat-e-kaar bahm ho ki hain jam'a din raat
pesha-e-hijr ke be car tire kooche mein

nafa ke khel mein samjha gaya tha taq jise
vo khasaare mein hai hoshyaar tire kooche mein

aakhir-e-umr ne ki raunaq-e-baazar tamaam
na dukaaan hai na khareedaar tire kooche mein

ek muddat se hai tarteeb mein be-tarteebi
na durusti ke hain aasaar tire kooche mein

थम गई वक़्त की रफ़्तार तिरे कूचे में
ऐसे साबित हुआ सय्यार तिरे कूचे में

मंज़र-ए-बाम सर-ए-दीद नहीं खुलता है
कुछ है ना-दीदा का असरार तिरे कूचे में

हर तलबगार को है हासिल-ए-गुफ़्तार-ए-सुकूत
न है इंकार न इक़रार तिरे कूचे में

आईना शाम का रौशन रुख़-ए-महताब से कर
अक्स चमके तो हो दीदार तिरे कूचे में

वसलत-ए-कार बहम हो कि हैं जम्अ दिन रात
पेशा-ए-हिज्र के बे कार तिरे कूचे में

नफ़ा के खेल में समझा गया था ताक़ जिसे
वो ख़सारे में है होश्यार तिरे कूचे में

आख़िर-ए-उम्र ने की रौनक़-ए-बाज़ार तमाम
न दुकाँ है न ख़रीदार तिरे कूचे में

एक मुद्दत से है तरतीब में बे-तरतीबी
न दुरुस्ती के हैं आसार तिरे कूचे में

- Ejaz Gul
0 Likes

Protest Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Protest Shayari Shayari