nahin shauq-e-kharidaari mein daude ja raha hai | नहीं शौक़-ए-ख़रीदारी में दौड़े जा रहा है - Ejaz Gul

nahin shauq-e-kharidaari mein daude ja raha hai
ye gaahak sair-e-baazaari mein daude ja raha hai

mayassar kuchh nahin hai khel mein laa-haasili ke
yoonhi be-kaar bekaari mein daude ja raha hai

uthaaye phir raha hai kotwaal-e-umr chaabuk
badan majboor laachaari mein daude ja raha hai

khadi hai manfaat hairaan baahar daayere se
ziyaan apni ziyaan-kaari mein daude ja raha hai

theharna bhi kahaan hai sahal in sayyaargaan ko
na saabit se hi sayyaari mein daude ja raha hai

utaara khwahishon ka hai izafi bojh sar se
to aasaani se dushwaari mein daude ja raha hai

nahin himmat ki jis mein ho zamaane ke muqaabil
vo apne ghar ki rahdaari mein daude ja raha hai

nahin milta magar rozan ki nikle aks baahar
pas-e-aaina-zangaari mein daude ja raha hai

sameta jhooth ki parkaar ne hai pesh-o-pas ko
ki ab har sach riya-kaari mein daude ja raha hai

khabar hai rut badlne ki agar rashk-e-saba vo
khiraam-andaaz gulzaari mein daude ja raha hai

नहीं शौक़-ए-ख़रीदारी में दौड़े जा रहा है
ये गाहक सैर-ए-बाज़ारी में दौड़े जा रहा है

मयस्सर कुछ नहीं है खेल में ला-हासिली के
यूँही बे-कार बेकारी में दौड़े जा रहा है

उठाए फिर रहा है कोतवाल-ए-उम्र चाबुक
बदन मजबूर लाचारी में दौड़े जा रहा है

खड़ी है मंफ़अत हैरान बाहर दाएरे से
ज़ियाँ अपनी ज़ियाँ-कारी में दौड़े जा रहा है

ठहरना भी कहाँ है सहल इन सय्यार्गां को
न साबित से ही सय्यारी में दौड़े जा रहा है

उतारा ख़्वाहिशों का है इज़ाफ़ी बोझ सर से
तो आसानी से दुश्वारी में दौड़े जा रहा है

नहीं हिम्मत कि जिस में हो ज़माने के मुक़ाबिल
वो अपने घर की रहदारी में दौड़े जा रहा है

नहीं मिलता मगर रौज़न कि निकले अक्स बाहर
पस-ए-आईना-ज़ंगारी में दौड़े जा रहा है

समेटा झूट की परकार ने है पेश-ओ-पस को
कि अब हर सच रिया-कारी में दौड़े जा रहा है

ख़बर है रुत बदलने की अगर रश्क-ए-सबा वो
ख़िराम-अंदाज़ गुलज़ारी में दौड़े जा रहा है

- Ejaz Gul
0 Likes

Hausla Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Hausla Shayari Shayari