gali se apni uthaata hai vo bahaane se | गली से अपनी उठाता है वो बहाने से - Ejaz Gul

gali se apni uthaata hai vo bahaane se
main be-khabar rahoon duniya ke aane jaane se

kabhi kabhi to ghaneemat hai yaad rafta ki
bitha na roz laga ke use sirhaane se

ajeeb shakhs tha main bhi bhula nahin paaya
kiya na us ne bhi inkaar yaad aane se

utha rakhi hai kisi ne kamaan suraj ki
gira raha hai mere raat din nishaane se

koi sabab to hai aisa ki ek umr se hain
zamaana mujh se khafa aur main zamaane se

गली से अपनी उठाता है वो बहाने से
मैं बे-ख़बर रहूँ दुनिया के आने जाने से

कभी कभी तो ग़नीमत है याद रफ़्ता की
बिठा न रोज़ लगा के उसे सिरहाने से

अजीब शख़्स था मैं भी भुला नहीं पाया
किया न उस ने भी इंकार याद आने से

उठा रखी है किसी ने कमान सूरज की
गिरा रहा है मिरे रात दिन निशाने से

कोई सबब तो है ऐसा कि एक उम्र से हैं
ज़माना मुझ से ख़फ़ा और मैं ज़माने से

- Ejaz Gul
0 Likes

Gussa Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Gussa Shayari Shayari