soorat-e-sehr jaaun aur dar-b-dar jaaun | सूरत-ए-सहर जाऊँ और दर-ब-दर जाऊँ - Ejaz Gul

soorat-e-sehr jaaun aur dar-b-dar jaaun
ab to faisla thehra raat se guzar jaaun

vaaheemon ke zindaan ka zehan zehan qaaidi hai
bol fikr-e-taabinda main kidhar kidhar jaaun

meri na-rasaai se qaafila na ruk jaaye
main ki pa-shikasta hoon raaste mein mar jaaun

ishq ki sadaqat par jabki mera eemaan hai
kaise khud-kushi kar luun kyun bikhar bikhar jaaun

सूरत-ए-सहर जाऊँ और दर-ब-दर जाऊँ
अब तो फ़ैसला ठहरा रात से गुज़र जाऊँ

वाहिमों के ज़िंदाँ का ज़ेहन ज़ेहन क़ैदी है
बोल फ़िक्र-ए-ताबिंदा मैं किधर किधर जाऊँ

मेरी ना-रसाई से क़ाफ़िला न रुक जाए
मैं कि पा-शिकस्ता हूँ रास्ते में मर जाऊँ

इश्क़ की सदाक़त पर जबकि मेरा ईमाँ है
कैसे ख़ुद-कुशी कर लूँ क्यूँ बिखर बिखर जाऊँ

- Ejaz Gul
0 Likes

Irada Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Irada Shayari Shayari