galiyon mein bhatkna rah-e-aalaam mein rahna | गलियों में भटकना रह-ए-आलाम में रहना - Ejaz Gul

galiyon mein bhatkna rah-e-aalaam mein rahna
yaa sab ko hai naakaami-e-yak-gaam mein rahna

pehle to bikhar jaana guzargaahon ke hamraah
phir hasrat-e-deewar-o-dar-o-baam mein rahna

baagaat mein phirna khas-o-khaashaak pahan kar
har silsila-e-sabz ke anjaam mein rahna

har saans mein ghulna tiri dahleez ki khushboo
har aankh ka doori ke siyah daam mein rahna

awaaz na aana kisi aabaad makaan se
har haath ka yaa dastak-e-naakaam mein rahna

kuchh der mein khul jaayega basti ka naseeba
kuchh der hai aur sakhti-ayyaam mein rahna

ejaz bahut din se hai shohrat ka bulaava
tum ho ki wahi qarya-e-gumnaam mein rahna

गलियों में भटकना रह-ए-आलाम में रहना
याँ सब को है नाकामी-ए-यक-गाम में रहना

पहले तो बिखर जाना गुज़रगाहों के हमराह
फिर हसरत-ए-दीवार-ओ-दर-ओ-बाम में रहना

बाग़ात में फिरना ख़स-ओ-ख़ाशाक पहन कर
हर सिलसिला-ए-सब्ज़ के अंजाम में रहना

हर साँस में घुलना तिरी दहलीज़ की ख़ुश्बू
हर आँख का दूरी के सियह दाम में रहना

आवाज़ न आना किसी आबाद मकाँ से
हर हाथ का याँ दस्तक-ए-नाकाम में रहना

कुछ देर में खुल जाएगा बस्ती का नसीबा
कुछ देर है और सख़्ती-अय्याम में रहना

'एजाज़' बहुत दिन से है शोहरत का बुलावा
तुम हो कि वही क़रया-ए-गुमनाम में रहना

- Ejaz Gul
0 Likes

Anjam Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Anjam Shayari Shayari