itna tilism yaad ke chaqmaaq mein raha | इतना तिलिस्म याद के चक़माक़ में रहा - Ejaz Gul

itna tilism yaad ke chaqmaaq mein raha
raushan charaagh door kisi taq mein raha

makhfi bhi tha visaal ka vo baab-e-mukhtasar
kuchh dil bhi mahav hijr ke asbaaq mein raha

sehra ke ishtiraak pe raazi the sab fariq
mahmil ka jo fasaad tha ushshaq mein raha

mafaqood ho gaya hai siyaq-o-sabaq se
jo harf-e-umr saikron aoraq mein raha

main tha ki jis ke vaaste paaband ahad-e-hijr
vo aur ek hijr ke meesaq mein raha

atwaar us ke dekh ke aata nahin yaqeen
insaan suna gaya hai ki aafaq mein raha

khufuta the daayein baayein kai maar-e-aasteen
zehraab ka asar mere tiryaaq mein raha

taarikh ne pasand kiya bhi kisi sabab
ya bas ki shah-e-waqt tha aoraq mein raha

इतना तिलिस्म याद के चक़माक़ में रहा
रौशन चराग़ दूर किसी ताक़ में रहा

मख़्फ़ी भी था विसाल का वो बाब-ए-मुख़्तसर
कुछ दिल भी महव हिज्र के अस्बाक़ में रहा

सहरा के इश्तिराक पे राज़ी थे सब फ़रीक़
महमिल का जो फ़साद था उश्शाक़ में रहा

मफ़क़ूद हो गया है सियाक़-ओ-सबाक़ से
जो हर्फ़-ए-उम्र सैकड़ों औराक़ में रहा

मैं था कि जिस के वास्ते पाबंद अहद-ए-हिज्र
वो और एक हिज्र के मीसाक़ में रहा

अतवार उस के देख के आता नहीं यक़ीं
इंसाँ सुना गया है कि आफ़ाक़ में रहा

ख़ुफ़्ता थे दाएँ बाएँ कई मार-ए-आस्तीं
ज़हराब का असर मिरे तिरयाक़ में रहा

तारीख़ ने पसंद किया भी किसी सबब
या बस कि शाह-ए-वक़्त था औराक़ में रहा

- Ejaz Gul
0 Likes

Violence Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ejaz Gul

As you were reading Shayari by Ejaz Gul

Similar Writers

our suggestion based on Ejaz Gul

Similar Moods

As you were reading Violence Shayari Shayari