main kai barson se teri justuju karti rahi | मैं कई बरसों से तेरी जुस्तुजू करती रही

  - Erum Zehra

main kai barson se teri justuju karti rahi
is safar mein aarzooon ka lahu karti rahi

kya khabar tujh ko guzaari kaise main ne shaam-e-gham
aansuon ka paani le kar main wuzoo karti rahi

jab tiri yaadon ne mujh ko neem paagal kar diya
main tiri tasveer se hi guftugoo karti rahi

kis tarah apni tamannaon ka main karti shumaar
bas tujhe paane ki har-dam aarzoo karti rahi

dil ke darwaaze pe jab bhi yaad ki dastak hui
main tasavvur mein jigar apna rafu karti rahi

dil ki dhadkan kah rahi hai tu achaanak aayega
khud ko din-bhar aaine ke roo-b-roo karti rahi

sochna bhi mat kabhi tujh ko bhula degi irm
vasl ki khwaahish har ik lamha numoo karti rahi

मैं कई बरसों से तेरी जुस्तुजू करती रही
इस सफ़र में आरज़ूओं का लहू करती रही

क्या ख़बर तुझ को गुज़ारी कैसे मैं ने शाम-ए-ग़म
आँसुओं का पानी ले कर मैं वुज़ू करती रही

जब तिरी यादों ने मुझ को नीम पागल कर दिया
मैं तिरी तस्वीर से ही गुफ़्तुगू करती रही

किस तरह अपनी तमन्नाओं का मैं करती शुमार
बस तुझे पाने की हर-दम आरज़ू करती रही

दिल के दरवाज़े पे जब भी याद की दस्तक हुई
मैं तसव्वुर में जिगर अपना रफ़ू करती रही

दिल की धड़कन कह रही है तू अचानक आएगा
ख़ुद को दिन-भर आईने के रू-ब-रू करती रही

सोचना भी मत कभी तुझ को भुला देगी 'इरम'
वस्ल की ख़्वाहिश हर इक लम्हा नुमू करती रही

  - Erum Zehra

Tamanna Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Erum Zehra

As you were reading Shayari by Erum Zehra

Similar Writers

our suggestion based on Erum Zehra

Similar Moods

As you were reading Tamanna Shayari Shayari