main apni wafaon ka bharam le ke chali hoon
haathon mein mohabbat ka alam le ke chali hoon
chalne hi nahin deti thi ik wa'de ki zanjeer
mushkil tha magar baar-e-sitam le ke chali hoon
kya poochte ho mujh se mere zaad-e-safar ka
asbaab mein bas yaad-e-sanam le ke chali hoon
jis shehar ke har mod pe kaante hi biche hain
is shehar mein bhi zakhmi qadam le ke chali hoon
koi bhi safar main ne adhoora nahin chhodaa
chalna hai to manzil ki qasam le ke chali hoon
mujh ko hai yaqeen harf ki hurmat pe hamesha
tanhaa thi magar apna qalam le ke chali hoon
khush-bakht hai vo jis ke muqaddar mein irm hai
main saath mein ik baagh-e-iram le ke chali hoon
मैं अपनी वफ़ाओं का भरम ले के चली हूँ
हाथों में मोहब्बत का अलम ले के चली हूँ
चलने ही नहीं देती थी इक वा'दे की ज़ंजीर
मुश्किल था मगर बार-ए-सितम ले के चली हूँ
क्या पूछते हो मुझ से मिरे ज़ाद-ए-सफ़र का
अस्बाब में बस याद-ए-सनम ले के चली हूँ
जिस शहर के हर मोड़ पे काँटे ही बिछे हैं
इस शहर में भी ज़ख़्मी क़दम ले के चली हूँ
कोई भी सफ़र मैं ने अधूरा नहीं छोड़ा
चलना है तो मंज़िल की क़सम ले के चली हूँ
मुझ को है यक़ीं हर्फ़ की हुरमत पे हमेशा
तन्हा थी मगर अपना क़लम ले के चली हूँ
ख़ुश-बख़्त है वो जिस के मुक़द्दर में 'इरम' है
मैं साथ में इक बाग़-ए-इरम ले के चली हूँ
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Erum Zehra
our suggestion based on Erum Zehra
As you were reading Shehar Shayari Shayari