kaise banaaun haath pe tasveer khwaab ki
mujh ko mili na aaj bhi ta'beer khwaab ki
aankhon se neend rooth ke jaane kidhar gai
kattee nahin hai raat ko zanjeer khwaab ki
jis shehar mein ho khwaab churaane ki waardaat
kaise karoon wahan pe main tashheer khwaab ki
khwaabon ne har qadam pe mujhe hausla diya
dekhi nahin hai tum ne kya taaseer khwaab ki
kab tak rahegi teergi tere khayal mein
raushan karegi us ko bhi tanveer khwaab ki
us din to mere khwaabon ko pehchaan jaaoge
jis din likhega koi bhi tafseer khwaab ki
khwaabon ko hi irm ne asaasa bana liya
rahne do mere paas ye jaageer khwaab ki
कैसे बनाऊँ हाथ पे तस्वीर ख़्वाब की
मुझ को मिली न आज भी ता'बीर ख़्वाब की
आँखों से नींद रूठ के जाने किधर गई
कटती नहीं है रात को ज़ंजीर ख़्वाब की
जिस शहर में हो ख़्वाब चुराने की वारदात
कैसे करूँ वहाँ पे मैं तश्हीर ख़्वाब की
ख़्वाबों ने हर क़दम पे मुझे हौसला दिया
देखी नहीं है तुम ने क्या तासीर ख़्वाब की
कब तक रहेगी तीरगी तेरे ख़याल में
रौशन करेगी उस को भी तनवीर ख़्वाब की
उस दिन तो मेरे ख़्वाबों को पहचान जाओगे
जिस दिन लिखेगा कोई भी तफ़्सीर ख़्वाब की
ख़्वाबों को ही 'इरम' ने असासा बना लिया
रहने दो मेरे पास ये जागीर ख़्वाब की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Erum Zehra
our suggestion based on Erum Zehra
As you were reading Good night Shayari Shayari