darakht-e-jaan par azaab-rut thi na berg jaage na phool aaye | दरख़्त-ए-जाँ पर अज़ाब-रुत थी न बर्ग जागे न फूल आए

  - Ezaz Ahmad Azar

darakht-e-jaan par azaab-rut thi na berg jaage na phool aaye
bahaar-vaadi se jitne panchi idhar ko aaye malool aaye

nashaat-e-manjil nahin to un ko koi sa ajr-e-safar hi de do
vo rah-navard-e-rah-e-junoon jo pahan ke raahon ki dhool aaye

vo saari khushiyaan jo us ne chaahi utha ke jholi mein apni rakh leen
hamaare hisse mein uzr aaye javaaz aaye usool aaye

ab aise qisse se faaeda kya ki kaun kitna wafa-nigar tha
jab us ki mehfil se aa gaye aur saari baatein hi bhool aaye

wafa ki nagri luti to us ke asaason ka bhi hisaab thehra
kisi ke hisse mein zakham aaye kisi ke hisse mein phool aaye

b-naam-e-fasl-e-bahaar aazar vo zard patte hi mo'tabar the
jo hans ke rizq-e-khizaan hue hain jo sabz shaakhon pe jhool aaye

दरख़्त-ए-जाँ पर अज़ाब-रुत थी न बर्ग जागे न फूल आए
बहार-वादी से जितने पंछी इधर को आए मलूल आए

नशात-ए-मंज़िल नहीं तो उन को कोई सा अज्र-ए-सफ़र ही दे दो
वो रह-नवर्द-ए-रह-ए-जुनूँ जो पहन के राहों की धूल आए

वो सारी ख़ुशियाँ जो उस ने चाहीं उठा के झोली में अपनी रख लीं
हमारे हिस्से में उज़्र आए जवाज़ आए उसूल आए

अब ऐसे क़िस्से से फ़ाएदा क्या कि कौन कितना वफ़ा-निगर था
जब उस की महफ़िल से आ गए और सारी बातें ही भूल आए

वफ़ा की नगरी लुटी तो उस के असासों का भी हिसाब ठहरा
किसी के हिस्से में ज़ख़्म आए किसी के हिस्से में फूल आए

ब-नाम-ए-फ़स्ल-ए-बहार 'आज़र' वो ज़र्द पत्ते ही मो'तबर थे
जो हँस के रिज़्क़-ए-ख़िज़ाँ हुए हैं जो सब्ज़ शाख़ों पे झूल आए

  - Ezaz Ahmad Azar

Nature Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Ahmad Azar

As you were reading Shayari by Ezaz Ahmad Azar

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Ahmad Azar

Similar Moods

As you were reading Nature Shayari Shayari