tum aisa karna ki koi jugnoo koi sitaara sanbhaal rakhna | तुम ऐसा करना कि कोई जुगनू कोई सितारा सँभाल रखना

  - Ezaz Ahmad Azar

tum aisa karna ki koi jugnoo koi sitaara sanbhaal rakhna
mere andheron ki fikr chhodo bas apne ghar ka khayal rakhna

ujaad mausam mein ret-dharti pe fasl boi thi chaandni ki
ab us mein ugne lage andhere to kaisa jee mein malaal rakhna

dayaar-e-ulfat mein ajnabi ko safar hai dar-pesh zulmato_n ka
kahi vo raahon mein kho na jaaye zara dareecha ujaal rakhna

bichhadne waale ne waqt-e-rukhsat kuchh is nazar se palat ke dekha
ki jaise vo bhi ye kah raha ho tum apne ghar ka khayal rakhna

ye dhoop chaanv ka khel hai ya khizaan bahaaron ki ghaat mein hai
naseeb subh-e-urooj ho to nazar mein shaam-e-zawaal rakhna

kise khabar hai ki kab ye mausam uda ke rakh dega khaak aazar
tum ehtiyaatan zameen ke sar par falak ki chadar hi daal rakhna

तुम ऐसा करना कि कोई जुगनू कोई सितारा सँभाल रखना
मिरे अँधेरों की फ़िक्र छोड़ो बस अपने घर का ख़याल रखना

उजाड़ मौसम में रेत-धरती पे फ़स्ल बोई थी चाँदनी की
अब उस में उगने लगे अँधेरे तो कैसा जी में मलाल रखना

दयार-ए-उल्फ़त में अजनबी को सफ़र है दर-पेश ज़ुल्मतों का
कहीं वो राहों में खो न जाए ज़रा दरीचा उजाल रखना

बिछड़ने वाले ने वक़्त-ए-रुख़्सत कुछ इस नज़र से पलट के देखा
कि जैसे वो भी ये कह रहा हो तुम अपने घर का ख़याल रखना

ये धूप छाँव का खेल है या ख़िज़ाँ बहारों की घात में है
नसीब सुब्ह-ए-उरूज हो तो नज़र में शाम-ए-ज़वाल रखना

किसे ख़बर है कि कब ये मौसम उड़ा के रख देगा ख़ाक 'आज़र'
तुम एहतियातन ज़मीं के सर पर फ़लक की चादर ही डाल रखना

  - Ezaz Ahmad Azar

Qismat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Ezaz Ahmad Azar

As you were reading Shayari by Ezaz Ahmad Azar

Similar Writers

our suggestion based on Ezaz Ahmad Azar

Similar Moods

As you were reading Qismat Shayari Shayari