in ujadi bastiyon ka koi to nishaan rahe
choolhe jalen ki ghar hi jalen par dhuaan rahe
nero ne bansri ki nayi taan chhed di
ab rom ka naseeb faqat dastaan rahe
paani samundron ka na chhalni se maapiye
aisa na ho ki saara kiya raayegaan rahe
mujh ko supurd-e-khaak karo is dua ke saath
aangan mein phool khilte rahein aur makaan rahe
kaatee hai umr raat ki pahnaaiyon ke saath
ham shehar-e-be-charaagh mein ai be-kasaan rahe
aazar har ek gaam pe kaata hai sang-e-jabr
haathon mein tesha saamne koh-e-giraan rahe
इन उजड़ी बस्तियों का कोई तो निशाँ रहे
चूल्हे जलें कि घर ही जलें पर धुआँ रहे
नेरो ने बंसरी की नई तान छेड़ दी
अब रोम का नसीब फ़क़त दास्ताँ रहे
पानी समुंदरों का न छलनी से मापिये
ऐसा न हो कि सारा किया राएगाँ रहे
मुझ को सुपुर्द-ए-ख़ाक करो इस दुआ के साथ
आँगन में फूल खिलते रहें और मकाँ रहे
काटी है उम्र रात की पहनाइयों के साथ
हम शहर-ए-बे-चराग़ में ऐ बे-कसाँ रहे
'आज़र' हर एक गाम पे काटा है संग-ए-जब्र
हाथों में तेशा सामने कोह-ए-गिराँ रहे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Ezaz Ahmad Azar
our suggestion based on Ezaz Ahmad Azar
As you were reading Kismat Shayari Shayari