use ma'aloom hai sab kuchh wahi hai raaz-daan apna | उसे मा'लूम है सब कुछ वही है राज़-दाँ अपना

  - Faisal Azeem

use ma'aloom hai sab kuchh wahi hai raaz-daan apna
magar mujh se hi sunna chahta hai vo bayaan apna

yahan par shaan jaati hai wahan par jaan jaati hai
zameen chhooti to lagta hai ki chhoota aasmaan apna

jo guzra hai so guzra hai jo aayega so aayega
jo ab hai vo bhala kab hai koi lamha kahaan apna

main jis ke dil mein rehta hoon main jis ki dhun mein raksaan hoon
vo apni dhun pe gaata hai to hota hai gumaan apna

wahan khaamosh baithe the yahan to baat karte hain
wahan kyun tha ziyaan apna yahan kyun ho ziyaan apna

ye sadiyaan beet jaati hain magar lamhe nahin kate
jo ghatta hai to badh jaata hai kuchh baar-e-garaan apna

उसे मा'लूम है सब कुछ वही है राज़-दाँ अपना
मगर मुझ से ही सुनना चाहता है वो बयाँ अपना

यहाँ पर शान जाती है वहाँ पर जान जाती है
ज़मीं छूटी तो लगता है कि छूटा आसमाँ अपना

जो गुज़रा है सो गुज़रा है जो आएगा सो आएगा
जो अब है वो भला कब है कोई लम्हा कहाँ अपना

मैं जिस के दिल में रहता हूँ मैं जिस की धुन में रक़्साँ हूँ
वो अपनी धुन पे गाता है तो होता है गुमाँ अपना

वहाँ ख़ामोश बैठे थे यहाँ तो बात करते हैं
वहाँ क्यूँ था ज़ियाँ अपना यहाँ क्यों हो ज़ियाँ अपना

ये सदियाँ बीत जाती हैं मगर लम्हे नहीं कटते
जो घटता है तो बढ़ जाता है कुछ बार-ए-गराँ अपना

  - Faisal Azeem

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Azeem

As you were reading Shayari by Faisal Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Azeem

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari