go taar-e-ankaboot aaya nahin ab tak gumaanon mein
magar kuchh makdiyon ki sarsaraahat si hai kaanon mein
zameen-zaadon ko ab mitti se to waabasta rahne do
khudaara fasl-e-nau ka zauq rahne do kisaano mein
saroon se aasmaan bhi kya hataaya jaane waala hai
shabeehein mehr-o-mah ki taankte ho kyun makaanon mein
zara thehro ugegi bhook bhi kaaghaz ke pedon par
abhi to haath baante ja rahe hain baagbaanon mein
bahut mumkin hai patthar ke zamaane ke nazar aao
agar paida kiya jaaye tumhein pichhle zamaanon mein
na panje hain na par hain aur na hai parvaaz ki taqat
jo naghma-sanj hona ho to luknat hai zabaanon mein
chala aata hai basti mein liye zambil fatwon ki
tu aisa kar basera kar pahaadon ki chataanon mein
गो तार-ए-अंकबूत आया नहीं अब तक गुमानों में
मगर कुछ मकड़ियों की सरसराहट सी है कानों में
ज़मीं-ज़ादों को अब मिट्टी से तो वाबस्ता रहने दो
ख़ुदारा फ़स्ल-ए-नौ का ज़ौक़ रहने दो किसानों में
सरों से आसमाँ भी क्या हटाया जाने वाला है
शबीहें मेहर-ओ-मह की टाँकते हो क्यों मकानों में
ज़रा ठहरो उगेगी भूक भी काग़ज़ के पेड़ों पर
अभी तो हाथ बाँटे जा रहे हैं बाग़बानों में
बहुत मुमकिन है पत्थर के ज़माने के नज़र आओ
अगर पैदा किया जाए तुम्हें पिछले ज़मानों में
न पंजे हैं न पर हैं और न है परवाज़ की ताक़त
जो नग़्मा-संज होना हो तो लुक्नत है ज़बानों में
चला आता है बस्ती में लिए ज़म्बील फ़तवों की
तू ऐसा कर बसेरा कर पहाड़ों की चटानों में
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faisal Azeem
our suggestion based on Faisal Azeem
As you were reading Nigaah Shayari Shayari