jise kal raat bhar pooja gaya tha | जिसे कल रात भर पूजा गया था

  - Faisal Azeem

jise kal raat bhar pooja gaya tha
vo but kyun subh ko toota hua tha

agar sach ki haqeeqat ab khuli hai
to jo ab tak nazar aaya tha kya tha

agar ye talkhiyon ki ibtida hai
to ab tak kaun sa amrit piya tha

khula hai mujh pe ab duniya ka matlab
magar ye raaz pehle bhi khula tha

main jis mein hoon ye duniya mukhtalif hai
jahaan main tha vo aalam doosra tha

main khud ko maar kar pahuncha yahan tak
to yaad aaya ki main to mar chuka tha

meri main aur tiri main dono haari
main banda hoon magar tu to khuda tha

main ab jo munh chhupaaye phir raha hoon
to kya main waqai chehra-numa tha

जिसे कल रात भर पूजा गया था
वो बुत क्यूँ सुब्ह को टूटा हुआ था

अगर सच की हक़ीक़त अब खुली है
तो जो अब तक नज़र आया था क्या था

अगर ये तल्ख़ियों की इब्तिदा है
तो अब तक कौन सा अमृत पिया था

खुला है मुझ पे अब दुनिया का मतलब
मगर ये राज़ पहले भी खुला था

मैं जिस में हूँ ये दुनिया मुख़्तलिफ़ है
जहाँ मैं था वो आलम दूसरा था

मैं ख़ुद को मार कर पहुँचा यहाँ तक
तो याद आया कि मैं तो मर चुका था

मिरी मैं और तिरी मैं दोनों हारीं
मैं बंदा हूँ मगर तू तो ख़ुदा था

मैं अब जो मुँह छुपाए फिर रहा हूँ
तो क्या मैं वाक़ई चेहरा-नुमा था

  - Faisal Azeem

Andhera Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faisal Azeem

As you were reading Shayari by Faisal Azeem

Similar Writers

our suggestion based on Faisal Azeem

Similar Moods

As you were reading Andhera Shayari Shayari