jinhen chahte ho pasand karte ho | जिन्हें चाहते हो पसंद करते हो

  - Faiyaz Rifat

jinhen chahte ho pasand karte ho
un ki roohon ko tatolo
sacchaaiyon ki girhon ko kholo
wahan bhi andhere khandar hain
wahan bhi veeraan manzar hain
wahan bhi zakhamon ke basere hain
wahan bhi tanhaaiyon ke deray hain
vo bas hanste hain numaish ke liye
un ki zahr-khand hasi ko samjho
gosha-e-afiyat unhen mila hai
na tumhein milega
ki vo bhi aasi khwahishon ke
ki tum bhi aasi aarzuo ke
jinhen chahte ho pasand karte ho
un ki roohon ko tatolo
sacchaaiyon ki girhon ko kholo

जिन्हें चाहते हो पसंद करते हो
उन की रूहों को टटोलो
सच्चाइयों की गिरहों को खोलो
वहाँ भी अंधेरे खंडर हैं
वहाँ भी वीरान मंज़र हैं
वहाँ भी ज़ख़्मों के बसेरे हैं
वहाँ भी तन्हाइयों के डेरे हैं
वो बस हँसते हैं नुमाइश के लिए
उन की ज़हर-ख़ंद हँसी को समझो
गोशा-ए-आफ़ियत उन्हें मिला है
न तुम्हें मिलेगा
कि वो भी आसी ख़्वाहिशों के
कि तुम भी आसी आरज़ुओं के
जिन्हें चाहते हो पसंद करते हो
उन की रूहों को टटोलो
सच्चाइयों की गिरहों को खोलो

  - Faiyaz Rifat

Nazara Shayari

Our suggestion based on your choice

Similar Writers

our suggestion based on Faiyaz Rifat

Similar Moods

As you were reading Nazara Shayari Shayari