raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe | रात गहरी है मगर एक सहारा है मुझे  - Faizi

raat gahri hai magar ek sahaara hai mujhe
ye meri aankh ka aansu hi sitaara hai mujhe

main kisi dhyaan mein baitha hoon mujhe kya maaloom
ek aahat ne kai baar pukaara hai mujhe

aankh se gard hataata hoon to kya dekhta hoon
apne bikhre hue malbe ka nazaara hai mujhe

ai mere laadle ai naaz ke pale hue dil
tu ne kis koo-e-malaamat se guzaara hai mujhe

main to ab jaise bhi guzregi guzaarunga yahan
tum kahaan jaaoge dhadka to tumhaara hai mujhe

tu ne kya khol ke rakh di hai lapeti hui umr
tu ne kin aakhiri lamhon mein pukaara hai mujhe

main kahaan jaata tha us bazm-e-nazar-baazaan mein
lekin ab ke tire abroo ka ishaara hai mujhe

jaane main kaun tha logon se bhari duniya mein
meri tanhaai ne sheeshe mein utaara hai mujhe

रात गहरी है मगर एक सहारा है मुझे 
ये मिरी आँख का आँसू ही सितारा है मुझे 

मैं किसी ध्यान में बैठा हूँ मुझे क्या मालूम 
एक आहट ने कई बार पुकारा है मुझे 

आँख से गर्द हटाता हूँ तो क्या देखता हूँ 
अपने बिखरे हुए मलबे का नज़ारा है मुझे 

ऐ मिरे लाडले ऐ नाज़ के पाले हुए दिल 
तू ने किस कू-ए-मलामत से गुज़ारा है मुझे 

मैं तो अब जैसे भी गुज़रेगी गुज़ारूँगा यहाँ 
तुम कहाँ जाओगे धड़का तो तुम्हारा है मुझे 

तू ने क्या खोल के रख दी है लपेटी हुई उम्र 
तू ने किन आख़िरी लम्हों में पुकारा है मुझे 

मैं कहाँ जाता था उस बज़्म-ए-नज़र-बाज़ाँ में 
लेकिन अब के तिरे अबरू का इशारा है मुझे 

जाने मैं कौन था लोगों से भरी दुनिया में 
मेरी तन्हाई ने शीशे में उतारा है मुझे 

- Faizi
0 Likes

Sad Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Faizi

As you were reading Shayari by Faizi

Similar Writers

our suggestion based on Faizi

Similar Moods

As you were reading Sad Shayari Shayari