is liye dil bura kiya hi nahin
zindagi mera faisla hi nahin
is qadar shor tha mere sar mein
apni awaaz par ruka hi nahin
badi khwaahish thi mujh ko hone ki
ho gaya hoon to kuchh hua hi nahin
zulm karta hoon zulm sahta hoon
main kabhi chain se raha hi nahin
pad gaya hai khuda se kaam mujhe
aur khuda ka koi pata hi nahin
tod daalo ye haath paanv mere
jism ka to muqaabla hi nahin
tum kahaan ho zara sada to do
is se aage to raasta hi nahin
इस लिए दिल बुरा किया ही नहीं
ज़िंदगी मेरा फ़ैसला ही नहीं
इस क़दर शोर था मिरे सर में
अपनी आवाज़ पर रुका ही नहीं
बड़ी ख़्वाहिश थी मुझ को होने की
हो गया हूँ तो कुछ हुआ ही नहीं
ज़ुल्म करता हूँ ज़ुल्म सहता हूँ
मैं कभी चैन से रहा ही नहीं
पड़ गया है ख़ुदा से काम मुझे
और ख़ुदा का कोई पता ही नहीं
तोड़ डालो ये हाथ पाँव मिरे
जिस्म का तो मुक़ाबला ही नहीं
तुम कहाँ हो ज़रा सदा तो दो
इस से आगे तो रास्ता ही नहीं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faizi
our suggestion based on Faizi
As you were reading Travel Shayari Shayari