achha hai tu ne in dinon dekha nahin mujhe
duniya ne tere kaam ka chhodaa nahin mujhe
haan theek hai main bhoola hua hoon jahaan ko
lekin khayal apna bhi hota nahin mujhe
ab apne aansuon pe hai sairaabi-e-hayaat
kuchh aur is falak pe bharosa nahin mujhe
hai meherbaan koi jo kiye ja raha hai kaam
warna ma'aash ka to saleeqa nahin mujhe
ai rah-guzaar-e-silsila-e-ishq-e-be-lagaam
jaana kahaan hai tu ne bataaya nahin mujhe
hai to mera bhi naam sar-e-fahris-e-junoon
lekin abhi kisi ne pukaara nahin mujhe
अच्छा है तू ने इन दिनों देखा नहीं मुझे
दुनिया ने तेरे काम का छोड़ा नहीं मुझे
हाँ ठीक है मैं भूला हुआ हूँ जहान को
लेकिन ख़याल अपना भी होता नहीं मुझे
अब अपने आँसुओं पे है सैराबी-ए-हयात
कुछ और इस फ़लक पे भरोसा नहीं मुझे
है मेहरबाँ कोई जो किए जा रहा है काम
वर्ना मआश का तो सलीक़ा नहीं मुझे
ऐ रह-गुज़ार-ए-सिलसिला-ए-इश्क़-ए-बे-लगाम
जाना कहाँ है तू ने बताया नहीं मुझे
है तो मिरा भी नाम सर-ए-फ़हरिस-ए-जुनूँ
लेकिन अभी किसी ने पुकारा नहीं मुझे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Faizi
our suggestion based on Faizi
As you were reading Yaad Shayari Shayari