jidhar munh apne ko vo eesi-e-zamaan phere
to ik nigaah se mardon ke tan mein jaan phere
vo to hai kaafir-e-rahzan ki ik ishaare mein
jo samt ka'be ke jaata ho kaarwaan phere
tiri jafaon se yun dil ke ferne ke liye
kahe hazaar koi tujh se par kahaan phere
kar ai aziz har ik nek-o-bad ki dil mein raah
na kar vo kaam ki munh tujh se yak jahaan phere
nazar na aave kabhu ek baar agar us ke
karoon hazaar main kooche ke darmiyaan phere
जिधर मुँह अपने को वो ईसी-ए-ज़माँ फेरे
तो इक निगाह से मर्दों के तन में जाँ फेरे
वो तो है काफ़िर-ए-रहज़न कि इक इशारे में
जो सम्त का'बे के जाता हो कारवाँ फेरे
तिरी जफ़ाओं से यूँ दिल के फेरने के लिए
कहे हज़ार कोई तुझ से पर कहाँ फेरे
कर ऐ अज़ीज़ हर इक नेक-ओ-बद की दिल में राह
न कर वो काम कि मुँह तुझ से यक जहाँ फेरे
नज़र न आवे कभू एक बार अगर उस के
करूँ हज़ार मैं कूचे के दरमियाँ फेरे
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Dil Shayari Shayari