vo be-nava rah-o-rasm-e-qalandari jaane
jo khaak-e-tan pe libaas-e-tawangari jaane
raqeeb se tiri parkhaash dekh kar ai shokh
wahi ho khush jo na ye jang-e-zargari jaane
ada-o-naaz-o-tabassum nigaah-e-gosha-e-chashm
so us ke kaun ye andaaz-e-dilbari jaane
jahaan ke qatl se kya ho use khatra haihaat
jo shokh kuchh na maal-e-sitamgari jaane
dimaagh-e-behs nahin khaariji se ai maahir
aqeeda kaun mera ghair-haidari jaane
वो बे-नवा रह-ओ-रस्म-ए-क़लंदरी जाने
जो ख़ाक-ए-तन पे लिबास-ए-तवंगरी जाने
रक़ीब से तिरी परख़ाश देख कर ऐ शोख़
वही हो ख़ुश जो न ये जंग-ए-ज़रगरी जाने
अदा-ओ-नाज़-ओ-तबस्सुम निगाह-ए-गोशा-ए-चश्म
सो उस के कौन ये अंदाज़-ए-दिलबरी जाने
जहाँ के क़त्ल से क्या हो उसे ख़तर हैहात
जो शोख़ कुछ न मआल-ए-सितमगरी जाने
दिमाग़-ए-बहस नहीं ख़ारिजी से ऐ 'माहिर'
अक़ीदा कौन मिरा ग़ैर-हैदरी जाने
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Dushman Shayari Shayari