garche banta nahin dhab sone ka jaanaan se lipt
ek din jaaunga par us ke main daamaan se lipt
ai falak tujh se tamannaa hai ki is jaade mein
soiye garm ho is mehr-e-darkhshaan se lipt
baad muddat jo use sair-e-chaman mein dekha
main gaya daud ke is sarv-khiraamaan se lipt
baagbaan ne jo na di rifat-e-gul-gasht hamein
but se ho rah gaye deewaar-e-gulistaan se lipt
maahir us shokh ne jab teer nigaah ka fenka
us ke paikaan rahe aah rag-e-jaan se lipt
गरचे बनता नहीं ढब सोने का जानाँ से लिपट
एक दिन जाऊँगा पर उस के मैं दामाँ से लिपट
ऐ फ़लक तुझ से तमन्ना है कि इस जाड़े में
सोइए गर्म हो इस मेहर-ए-दरख़्शाँ से लिपट
बाद मुद्दत जो उसे सैर-ए-चमन में देखा
मैं गया दौड़ के इस सर्व-ख़िरामाँ से लिपट
बाग़बाँ ने जो न दी रिफ़अत-ए-गुल-गश्त हमें
बुत से हो रह गए दीवार-ए-गुलिस्ताँ से लिपट
'माहिर' उस शोख़ ने जब तीर निगह का फेंका
उस के पैकान रहे आह रग-ए-जाँ से लिपट
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Afsos Shayari Shayari