jab yaar dekhne ko gulzaar ghar se nikla
aalam tab us ke bahr-e-deedaar ghar se nikla
karne ko qatl aashiq vo tund-khoo kaj-abroo
kaj rakh ke sar pe apni dastaar ghar se nikla
deta tha vo kisi ko gaali kisi ko jhidki
jis dam nashe mein ho kar sarshaar ghar se nikla
changa bhala jo aaya paas us pari ke maahir
chalte hue vo ho kar beemaar ghar se nikla
जब यार देखने को गुलज़ार घर से निकला
आलम तब उस के बहर-ए-दीदार घर से निकला
करने को क़त्ल आशिक़ वो तुंद-ख़ू कज-अबरू
कज रख के सर पे अपनी दस्तार घर से निकला
देता था वो किसी को गाली किसी को झिड़की
जिस दम नशे में हो कर सरशार घर से निकला
चंगा भला जो आया पास उस परी के 'माहिर'
चलते हुए वो हो कर बीमार घर से निकला
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Dost Shayari Shayari