main to mozaahim nahin gair ke haan jaaie
gaah qadam-ranja aap yaa bhi to farmaiye
tum se to gair az-razaa chaara nahin mujh ko lek
kaa'ba-e-dil ko mere soch ke tuk dhak jaaie
qasd kahi aur ka ham se ye kah kar chale
jaaun hoon ghar aaiyo yun to na bahkaaiye
aur jagah kab mile dil ki khabar haan magar
teri gali mein suraagh dhoondiye to paaiye
maahir'-e-be-chaara par kar ke ye jour-o-jafa
phir na zabaan apni par naam-e-wafaa laiye
मैं तो मोज़ाहिम नहीं ग़ैर के हाँ जाइए
गाह क़दम-रंजा आप याँ भी तो फ़रमाइए
तुम से तो ग़ैर अज़-रज़ा चारा नहीं मुझ को लेक
का'बा-ए-दिल को मिरे सोच के टुक ढक जाइए
क़स्द कहीं और का हम से ये कह कर चले
जाऊँ हूँ घर आइयो यूँ तो न बहकाइए
और जगह कब मिले दिल की ख़बर हाँ मगर
तेरी गली में सुराग़ ढूँडिए तो पाइए
'माहिर'-ए-बे-चारा पर कर के ये जौर-ओ-जफ़ा
फिर न ज़बाँ अपनी पर नाम-ए-वफ़ा लाइए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Urdu Shayari Shayari