baat kijeye gair se aur ham se munh ko moriye
tuk khuda se darie in wazon ko apni chhodije
munh na morega ye aasi gar yoonhi manzoor hai
leejie sang-e-jafa aur sheesha-e-dil toriye
todna dil ka tumhaare aage go aasaan hai
par tumhein tab jaanen jab toote bhi dil ko jodiye
yaar-e-be-parwa-o-jaanibadaar us ki khalk sab
haaye kis ke saamne ja sar ko apne phodiye
tod kar kuchh us se maahir ham ko ban aata nahin
dil mein hai phir us ke aage haath apne jodiye
बात कीजे ग़ैर से और हम से मुँह को मोड़िए
टुक ख़ुदा से डरिए इन वज़्ओं को अपनी छोड़िए
मुँह न मोड़ेगा ये आसी गर यूँही मंज़ूर है
लीजिए संग-ए-जफ़ा और शीशा-ए-दिल तोड़िए
तोड़ना दिल का तुम्हारे आगे गो आसान है
पर तुम्हें तब जानें जब टूटे भी दिल को जोड़िए
यार-ए-बे-परवा-ओ-जानिबदार उस की ख़ल्क़ सब
हाए किस के सामने जा सर को अपने फोड़िए
तोड़ कर कुछ उस से 'माहिर' हम को बन आता नहीं
दिल में है फिर उस के आगे हाथ अपने जोड़िए
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir
our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir
As you were reading Khuda Shayari Shayari