liye main qadam jo us ke to kiya itaab ulta | लिए मैं क़दम जो उस के तो किया इताब उल्टा

  - Fakhruddin Khan Mahir

liye main qadam jo us ke to kiya itaab ulta
kahi baat main ne seedhi to diya jawaab ulta

vo jo gair hain so un se tumhein be-takallufi hai
hamein dekh kar ke ab tum karo ho hijaab ulta

ye vo daur hai azeezo hai najeeb gardee is mein
chali baad ab vo jis se warq-e-kitaab ulta

wahin mehr zarra ho kar laga aankh ko jhapakne
lab-e-baam un ne rukh se jo sehar naqaab ulta

main talash mein kal us ke fira dar-b-dar vo maahir
na mila to ghar ko apne main fira kharab ulta

लिए मैं क़दम जो उस के तो किया इताब उल्टा
कही बात मैं ने सीधी तो दिया जवाब उल्टा

वो जो ग़ैर हैं सो उन से तुम्हें बे-तकल्लुफ़ी है
हमें देख कर के अब तुम करो हो हिजाब उल्टा

ये वो दौर है अज़ीज़ो है नजीब गर्दी इस में
चली बाद अब वो जिस से वरक़-ए-किताब उल्टा

वहीं मेहर ज़र्रा हो कर लगा आँख को झपकने
लब-ए-बाम उन ने रुख़ से जो सहर नक़ाब उल्टा

मैं तलाश में कल उस के फिरा दर-ब-दर वो 'माहिर'
न मिला तो घर को अपने मैं फिरा ख़राब उल्टा

  - Fakhruddin Khan Mahir

Baaten Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Fakhruddin Khan Mahir

As you were reading Shayari by Fakhruddin Khan Mahir

Similar Writers

our suggestion based on Fakhruddin Khan Mahir

Similar Moods

As you were reading Baaten Shayari Shayari