haan kaahish-e-fuzool ka haasil bhi kuchh nahin | हाँ काहिश-ए-फ़ुज़ूल का हासिल भी कुछ नहीं

  - Gauhar Hoshiyarpuri

haan kaahish-e-fuzool ka haasil bhi kuchh nahin
lekin hayaat be-khalish-e-dil bhi kuchh nahin

ab soch lo qadam hain ziyaan-e-gaah-e-shauq mein
kehna na phir ki jazba-e-kaamil bhi kuchh nahin

gahra sukoot chaap ki aawaaz-e-baazgasht
rah mein bhi kuchh na tha sar-e-manzil bhi kuchh nahin

juz hirs-e-manfa'at tah-e-dariyaa bhi kuchh na tha
juz vehm-e-aafiyat lab-e-saahil bhi kuchh nahin

sab jazb-e-aarzoo ki tamaazat ka khel hai
dil sard ho to garmi-e-mehfil bhi kuchh nahin

badle to ik namoona-e-ir'aaz-o-ehtiraaz
yun us nigaah ki raah mein haa'il bhi kuchh nahin

gauhar khala mein ghoorte firte ho ab kaho
kya sach hai bhoolna use mushkil bhi kuchh nahin

हाँ काहिश-ए-फ़ुज़ूल का हासिल भी कुछ नहीं
लेकिन हयात बे-ख़लिश-ए-दिल भी कुछ नहीं

अब सोच लो क़दम हैं ज़ियाँ-ए-गाह-ए-शौक़ में
कहना न फिर कि जज़्बा-ए-कामिल भी कुछ नहीं

गहरा सुकूत चाप की आवाज़-ए-बाज़गश्त
रह में भी कुछ न था सर-ए-मंज़िल भी कुछ नहीं

जुज़ हिर्स-ए-मंफ़अ'त तह-ए-दरिया भी कुछ न था
जुज़ वहम-ए-आफ़ियत लब-ए-साहिल भी कुछ नहीं

सब जज़्ब-ए-आरज़ू की तमाज़त का खेल है
दिल सर्द हो तो गर्मी-ए-महफ़िल भी कुछ नहीं

बदले तो इक नमूना-ए-ए'राज़-ओ-एहतिराज़
यूँ उस निगह की राह में हाइल भी कुछ नहीं

'गौहर' ख़ला में घूरते फिरते हो अब कहो
क्या सच है भूलना उसे मुश्किल भी कुछ नहीं

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Tanhai Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Tanhai Shayari Shayari