dil silsila-e-shauq ki tashheer bhi chahe | दिल सिलसिला-ए-शौक़ की तश्हीर भी चाहे

  - Gauhar Hoshiyarpuri

dil silsila-e-shauq ki tashheer bhi chahe
zanjeer bhi aawaaza-e-zanjeer bhi chahe

aaraam ki soorat nazar aaye to kuchh insaan
nairang-e-shab-o-roz mein taghaeer bhi chahe

sauda-e-talab ko na tawakkul ke evaz de
ye shart to khud khaaliq-e-taqdeer bhi chahe

laazim hai mohabbat hi mohabbat ka badal ho
tasveer jo dekhe use tasveer bhi chahe

ik pal mein badalte hain khud-o-khaal lahu ke
aankh apne kisi khwaab ki taabeer bhi chahe

lahja to badal chubhti hui baat se pehle
teer aisa to kuchh ho jise nakhchir bhi chahe

taaseer se khaali to sukhun nang hai gauhar
shaayar ko ata ho sanad-e-'meer bhi chahe

दिल सिलसिला-ए-शौक़ की तश्हीर भी चाहे
ज़ंजीर भी आवाज़ा-ए-ज़ंजीर भी चाहे

आराम की सूरत नज़र आए तो कुछ इंसाँ
नैरंग-ए-शब-ओ-रोज़ में तग़ईर भी चाहे

सौदा-ए-तलब को न तवक्कुल के एवज़ दे
ये शर्त तो ख़ुद ख़ालिक़-ए-तक़दीर भी चाहे

लाज़िम है मोहब्बत ही मोहब्बत का बदल हो
तस्वीर जो देखे उसे तस्वीर भी चाहे

इक पल में बदलते हैं ख़द-ओ-ख़ाल लहू के
आँख अपने किसी ख़्वाब की ताबीर भी चाहे

लहजा तो बदल चुभती हुई बात से पहले
तीर ऐसा तो कुछ हो जिसे नख़चीर भी चाहे

तासीर से ख़ाली तो सुख़न नंग है 'गौहर'
शाएर को अता हो सनद-ए-'मीर' भी चाहे

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Mohabbat Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Mohabbat Shayari Shayari