ik saaya-e-shaam yaad aaya | इक साया-ए-शाम याद आया

  - Gauhar Hoshiyarpuri

ik saaya-e-shaam yaad aaya
khushboo ka khiraam yaad aaya

dhoya hua saath paaniyon mein
kya naam tha naam yaad aaya

lehje mein shaguftagi gulon ki
ik shusta kalaam yaad aaya

achha hua gor tak to pahunchen
yaaron ko salaam yaad aaya

ai mauja-e-baad kya hua hai
kya taaza payaam yaad aaya

kuchh aur zameen mein gad gaye ham
jab apna maqaam yaad aaya

maqtal se mud aaye ghar ko gauhar
shaayad koi kaam yaad aaya

इक साया-ए-शाम याद आया
ख़ुशबू का ख़िराम याद आया

धोया हुआ सात पानियों में
क्या नाम था नाम याद आया

लहजे में शगुफ़्तगी गुलों की
इक शुस्ता कलाम याद आया

अच्छा हुआ गोर तक तो पहुँचे
यारों को सलाम याद आया

ऐ मौजा-ए-बाद क्या हुआ है
क्या ताज़ा पयाम याद आया

कुछ और ज़मीं में गड़ गए हम
जब अपना मक़ाम याद आया

मक़्तल से मुड़ आए घर को 'गौहर'
शायद कोई काम याद आया

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Ghar Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Ghar Shayari Shayari