shaayri baat nahin garm-e-sukhan hone ki
shart hi aur hai shaista-e-fan hone ki
main ki har-dam mujhe baalidagi-e-rooh ki fikr
rooh ko fikr hai waarasta-e-tan hone ki
ram-b-ram silsila-e-mauj-e-ghazaalaan-e-khayaal
dasht-e-ghurbat ko basharat ho watan hone ki
partav-e-rang se gulgooń hua maamoora-e-chashm
dhoom hai koo-e-tamaasha ke chaman hone ki
haq-parasti ko yahan kaun hai aamaada-e-daar
kis ko taufeeq hai be-gor-o-kafan hone ki
ya bachega na sehar tak koi darmaanda-e-shb
ya sehar hi nahin khaakam-b-dahan hone ki
dard ki saal-girah khair se guzre gauhar
aa gai raat wahi chaand-gahan hone ki
शाइरी बात नहीं गर्म-ए-सुख़न होने की
शर्त ही और है शाइस्ता-ए-फ़न होने की
मैं कि हर-दम मुझे बालीदगी-ए-रूह की फ़िक्र
रूह को फ़िक्र है वारस्ता-ए-तन होने की
रम-ब-रम सिलसिला-ए-मौज-ए-ग़ज़ालान-ए-ख़याल
दश्त-ए-ग़ुर्बत को बशारत हो वतन होने की
परतव-ए-रंग से गुलगूँ हुआ मामूरा-ए-चश्म
धूम है कू-ए-तमाशा के चमन होने की
हक़-परस्ती को यहाँ कौन है आमादा-ए-दार
किस को तौफ़ीक़ है बे-गोर-ओ-कफ़न होने की
या बचेगा न सहर तक कोई दरमाँदा-ए-शब
या सहर ही नहीं ख़ाकम-ब-दहन होने की
दर्द की साल-गिरह ख़ैर से गुज़रे 'गौहर'
आ गई रात वही चाँद-गहन होने की
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri
As you were reading Patriotic Shayari Shayari