hai jo bhi jazaa saza ata ho
hona hai jo aaj barmala ho
us din bhi jo sar pe dhoop chamki
jis din pe bahut farefta ho
us raat bhi neend agar na aayi
jis raat pe is qadar fida ho
rangon mein wahi to rang nikla
jo teri nazar mein jach gaya ho
phoolon mein wahi to phool thehra
jo tere salaam ko khila ho
ik shakhs khuda bana hua hai
kya ho jo yahi mera khuda ho
saugand mujhe ghazal ki gauhar
main ne jo zabaan se kuchh kaha ho
है जो भी जज़ा सज़ा अता हो
होना है जो आज बरमला हो
उस दिन भी जो सर पे धूप चमकी
जिस दिन पे बहुत फ़रेफ़्ता हो
उस रात भी नींद अगर न आई
जिस रात पे इस क़दर फ़िदा हो
रंगों में वही तो रंग निकला
जो तेरी नज़र में जच गया हो
फूलों में वही तो फूल ठहरा
जो तेरे सलाम को खिला हो
इक शख़्स ख़ुदा बना हुआ है
क्या हो जो यही मिरा ख़ुदा हो
सौगंद मुझे ग़ज़ल की 'गौहर'
मैं ने जो ज़बाँ से कुछ कहा हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri
As you were reading Basant Shayari Shayari