ye sehra-e-talab ya besha-e-aashufta-haali hai | ये सहरा-ए-तलब या बेशा-ए-आशुफ़्ता-हाली है

  - Gauhar Hoshiyarpuri

ye sehra-e-talab ya besha-e-aashufta-haali hai
koi daryooza-gar apna koi tera sawaali hai

hawadis se nabard-aaraaiyon ka kis ko yaara tha
junoon apna salaamat jis ne har uftaad taali hai

tire aghmaaz ki khoo seekh li ahl-e-muravvat ne
ki mehfil dard ki ab sahab-e-mehfil se khaali hai

huzoori ho ki mahjoori mohabbat kam nahin us se
tab apna bakht-e-aali tha ab apna zarf-e-aali hai

numoo ka josh kuchh nazzara-farma ho to ho warna
bahaar ab ke baras khud paaimaal-e-khushk-saali hai

kisi ke lutf-e-kam ko der lagti hai siva hote
chatkane tak to har gul ki jibillat infi'aali hai

sharf itna ki ghalib ki zameen mein hai ghazal gauhar
vo mazmoon-aafreeni hai na vo naazuk-khyaali hai

ये सहरा-ए-तलब या बेशा-ए-आशुफ़्ता-हाली है
कोई दरयूज़ा-गर अपना कोई तेरा सवाली है

हवादिस से नबर्द-आराईयों का किस को यारा था
जुनूँ अपना सलामत जिस ने हर उफ़्ताद टाली है

तिरे अग़माज़ की ख़ू सीख ली अहल-ए-मुरव्वत ने
कि महफ़िल दर्द की अब साहब-ए-महफ़िल से ख़ाली है

हुज़ूरी हो कि महजूरी मोहब्बत कम नहीं उस से
तब अपना बख़्त-ए-आ'ली था अब अपना ज़र्फ़-ए-आ'ली है

नुमू का जोश कुछ नज़्ज़ारा-फ़रमा हो तो हो वर्ना
बहार अब के बरस ख़ुद पाइमाल-ए-ख़ुश्क-साली है

किसी के लुत्फ़-ए-कम को देर लगती है सिवा होते
चटकने तक तो हर गुल की जिबिल्लत इंफ़िआ'ली है

शरफ़ इतना कि 'ग़ालिब' की ज़मीं में है ग़ज़ल 'गौहर'
वो मज़मूँ-आफ़रीनी है न वो नाज़ुक-ख़याली है

  - Gauhar Hoshiyarpuri

Valentine Shayari

Our suggestion based on your choice

More by Gauhar Hoshiyarpuri

As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Writers

our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri

Similar Moods

As you were reading Valentine Shayari Shayari