mata-e-ishq zara aur sarf-e-naaz to ho
tazi-e-umr ka aakhir koi javaaz to ho
b-ham-digar koi shab us se lab-b-lab to chale
hawa-e-shauq kuchh aalooda-e-majaaz to ho
qadam qadam koi saaya sa muttasil to rahe
saraab ka ye sar-e-silsila daraaz to ho
vo kam-sukhan na kam-aamez phir takalluf kya
kuchh us se baat to thehre kuchh us se saaz to ho
wafa se manzil-e-tark-e-wafaa tak aa nikle
kisi bahaane to patthar kabhi gudaaz to ho
shafaq kinaaya-e-lab shaam istaara-e-zulf
kabhi khayal wasiilon se be-niyaaz to ho
huzoor-e-naaz abas hai khayal-e-jaan gauhar
niyaaz mahram-e-khemyaaza-e-niyaaz to ho
मता-ए-इश्क़ ज़रा और सर्फ़-ए-नाज़ तो हो
तज़ी-ए-उम्र का आख़िर कोई जवाज़ तो हो
ब-हम-दिगर कोई शब उस से लब-ब-लब तो चले
हवा-ए-शौक़ कुछ आलूदा-ए-मजाज़ तो हो
क़दम क़दम कोई साया सा मुत्तसिल तो रहे
सराब का ये सर-ए-सिलसिला दराज़ तो हो
वो कम-सुख़न न कम-आमेज़ फिर तकल्लुफ़ क्या
कुछ उस से बात तो ठहरे कुछ उस से साज़ तो हो
वफ़ा से मंज़िल-ए-तर्क-ए-वफ़ा तक आ निकले
किसी बहाने तो पत्थर कभी गुदाज़ तो हो
शफ़क़ किनाया-ए-लब शाम इस्तारा-ए-ज़ुल्फ़
कभी ख़याल वसीलों से बे-नियाज़ तो हो
हुज़ूर-ए-नाज़ अबस है ख़याल-ए-जाँ 'गौहर'
नियाज़ महरम-ए-ख़म्याज़ा-ए-नियाज़ तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri
As you were reading Anjam Shayari Shayari