marhala tay koi be-minnat-e-jaada bhi to ho
gham badhe bhi to sahi dard ziyaada bhi to ho
aisi mushkil to nahin dast-e-wafa ki taskheer
sar mein sauda bhi to ho dil mein iraada bhi to ho
zehan ka mashwara-e-tark-e-talab bhi bar-haq
zehan ki baat qubool-e-dil-e-saada bhi to ho
kahi baadal kahi suraj kahi saaya kahi dhoop
mere maabood tira koi labaada bhi to ho
pyaar mein kam to nahin kam-nigaahi bhi us ki
haan tunak-zarfi-e-ehsaas kushaada bhi to ho
aashiqi sarmad-o-mansoor se kuchh khaas nahin
mast lekin koi be-zahmat-e-baada bhi to ho
zarf-e-eeza-talbi gham bhi parakh len gauhar
us se ik roz na milne ka iraada bhi to ho
मरहला तय कोई बे-मिन्नत-ए-जादा भी तो हो
ग़म बढ़े भी तो सही दर्द ज़ियादा भी तो हो
ऐसी मुश्किल तो नहीं दश्त-ए-वफ़ा की तस्ख़ीर
सर में सौदा भी तो हो दिल में इरादा भी तो हो
ज़ेहन का मश्वरा-ए-तर्क-ए-तलब भी बर-हक़
ज़ेहन की बात क़ुबूल-ए-दिल-ए-सादा भी तो हो
कहीं बादल कहीं सूरज कहीं साया कहीं धूप
मिरे माबूद तिरा कोई लबादा भी तो हो
प्यार में कम तो नहीं कम-निगही भी उस की
हाँ तुनक-ज़र्फ़ी-ए-एहसास कुशादा भी तो हो
आशिक़ी सरमद-ओ-मंसूर से कुछ ख़ास नहीं
मस्त लेकिन कोई बे-ज़हमत-ए-बादा भी तो हो
ज़र्फ़-ए-ईज़ा-तलबी ग़म भी परख लें 'गौहर'
उस से इक रोज़ न मिलने का इरादा भी तो हो
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Hoshiyarpuri
our suggestion based on Gauhar Hoshiyarpuri
As you were reading Love Shayari Shayari