is zindagi ne bakshe jo tohfe ajeeb hain
pagdandiyaan hain door tak raaste ajeeb hain
ab kho chuke khuloos-o-mohabbat jahaan se
chaahat wafa se door hain rishte ajeeb hain
samjhe nahin khudaara ajab tera falsafa
khush-rang dik rahe kyun vo hote ajeeb hain
samjhe bhi koi kaise batao use zara
is zindagi ke kitne hi chehre ajeeb hain
rishton ki kitni uljhi hain zanjeer paanv mein
har har qadam pe lagte ye pahre ajeeb hain
इस ज़िंदगी ने बख़्शे जो तोहफ़े अजीब हैं
पगडंडियाँ हैं दूर तक रस्ते अजीब हैं
अब खो चुके ख़ुलूस-ओ-मोहब्बत जहान से
चाहत वफ़ा से दूर हैं रिश्ते अजीब हैं
समझे नहीं ख़ुदारा अजब तेरा फ़ल्सफ़ा
ख़ुश-रंग दिख रहे क्यूँ वो होते अजीब हैं
समझे भी कोई कैसे बताओ उसे ज़रा
इस ज़िंदगी के कितने ही चेहरे अजीब हैं
रिश्तों की कितनी उलझी हैं ज़ंजीर पाँव में
हर हर क़दम पे लगते ये पहरे अजीब हैं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Seema
our suggestion based on Gauhar Seema
As you were reading Qaid Shayari Shayari