vahshaton ka aaj phir charcha raha
aaj phir ye dil mera thehra raha
vaadiyon mein zindagi marti rahi
dard aankhon se mere bahta raha
pattharon ke vaar vo sahte gaye
aainon ke saath ye qissa raha
masale sham'a bujha kar thak gaye
shauq ka suraj magar jalta raha
zindagi apna safar karti gai
roo-b-roo aankhon ke ik chehra raha
muntashir the dhadkano ke saaz bhi
dil musalsal raat bhar tanhaa raha
zakham de kar thak gai ye zindagi
khwaab aankhon mein magar thehra raha
वहशतों का आज फिर चर्चा रहा
आज फिर ये दिल मिरा ठहरा रहा
वादियों में ज़िंदगी मरती रही
दर्द आँखों से मिरे बहता रहा
पत्थरों के वार वो सहते गए
आइनों के साथ ये क़िस्सा रहा
मसअले शम्अ बुझा कर थक गए
शौक़ का सूरज मगर जलता रहा
ज़िंदगी अपना सफ़र करती गई
रू-ब-रू आँखों के इक चेहरा रहा
मुंतशिर थे धड़कनों के साज़ भी
दिल मुसलसल रात भर तन्हा रहा
ज़ख़्म दे कर थक गई ये ज़िंदगी
ख़्वाब आँखों में मगर ठहरा रहा
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Seema
our suggestion based on Gauhar Seema
As you were reading Gham Shayari Shayari