zeest mein taariqiyaan badhti gaeein
lamha lamha siskiyaan badhti gaeein
be-zabaan jab ho gai ye zindagi
zehan mein sargoshiyaan badhti gaeein
khwahishon ke phool murjhaane lage
phir meri ye hichakiyaan badhti gaeein
zakham kha kar muskuraate hi rahe
dil ki ye khaamoshiyaan badhti gaeein
sochte hi sochte guzra safar
khwaab ki sarmastiyaan badhti gaeein
ज़ीस्त में तारीकियाँ बढ़ती गईं
लम्हा लम्हा सिसकियाँ बढ़ती गईं
बे-ज़बान जब हो गई ये ज़िंदगी
ज़ेहन में सरगोशियाँ बढ़ती गईं
ख़्वाहिशों के फूल मुरझाने लगे
फिर मिरी ये हिचकियाँ बढ़ती गईं
ज़ख़्म खा कर मुस्कुराते ही रहे
दिल की ये ख़ामोशियाँ बढ़ती गईं
सोचते ही सोचते गुज़रा सफ़र
ख़्वाब की सरमस्तियाँ बढ़ती गईं
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Seema
our suggestion based on Gauhar Seema
As you were reading Basant Shayari Shayari