zindagi ko ek maani de gaya
vo mujhe ik rut suhaani de gaya
vo to apne lams se itaraaf mein
khushboo jaise zaafraani de gaya
soch kar jeete rahe shaam-o-sehar
khwaab jaisi ik kahaani de gaya
muntashir hain dhadkano ke saaz bhi
dard mein aisi rawaani de gaya
tees ban kar rah gaya pahluu mein jo
zakham aisa jaavedaani de gaya
cheen kar lab se tabassum ki lakeer
jheel si aankhon mein paani de gaya
ज़िंदगी को एक मा'नी दे गया
वो मुझे इक रुत सुहानी दे गया
वो तो अपने लम्स से अतराफ़ में
ख़ुश्बू जैसे ज़ाफ़रानी दे गया
सोच कर जीते रहे शाम-ओ-सहर
ख़्वाब जैसी इक कहानी दे गया
मुंतशिर हैं धड़कनों के साज़ भी
दर्द में ऐसी रवानी दे गया
टीस बन कर रह गया पहलू में जो
ज़ख़्म ऐसा जावेदानी दे गया
छीन कर लब से तबस्सुम की लकीर
झील सी आँखों में पानी दे गया
Our suggestion based on your choice
As you were reading Shayari by Gauhar Seema
our suggestion based on Gauhar Seema
As you were reading Zindagi Shayari Shayari